Carrot
Carrot is a vegetable.
It is very useful for eyes and skin. Carrot is a very healthiest vegetable. It
helps the making of blood. It has Vitamins A, B, C and calcium, folic acid,
phosphorus, beta carotene, carbohydrates. Kindly request to all of you, please
first take advice to your Doctor then use any tips. In this page you will find
the information, tips and Carrot benefits in Urdu ( Gajar Ke Fawaid ) In Urdu.
Carrot
Benefits In Urdu
Gajar
Ke Fawaid
Barre sagheer ki mashoor
tareen sabzi hai. Taseer ke lihaz se garam tar hai. Bazahir jitni bazaat aur
kam kharch hai. Batin mein utni he mufeed hai. Qudrat ne mein aise anasir rakh
diye hain, ke agar insaan unhe istemaal mein na lae. To us ki nashonuma aur
amraaz ke muqable karne ki quwwat mein kami paida ho jaye.
Jaded tehqeeq se maloom
hua hai, key eh sabzi jise hum itna haqeer aur mamooli samajhte hain. Vitamins
ka behtreen zakheera hai. Is mein vitamin A, B, C, folic acid, phosphorus,
nishasta aur sugar waghera ke ajzaa pae jate hain. Is liye jism ki tamer o parwarish
aur qiyam aur sehta ke liye yeh mufeed tareen sabzi hai. Is mein aik khas juzo
aisa hota hai, jo marz shabkori ke dafaa hai. Tajurbey se maloom hua hai ke
chon eke jis qadar ajzaa daily jism se kharij hote hain. Wo carrot se hasil ho
sakte hain.
Carrot ka juice pina
bohat he mufeed hai. Is mein aala qisam ki ghizaiyat hoti hai. Is se khoon
saleh peyda hota hai. Yeh maqwi basar hai. Agar carrots bakasrat khai jaen to
basarat tez hoti hai. Badi wa balghami bimariyon, kharabi khoon, dil ki
dharkan, pathri, yarqan ke liye bohat mufeed hai. Carrots maqwi meyda o dil aur
mufarrah hain. Behtreen qabz kusha aur bawaseer ke liye mufeed hai. Is ke khane
se urine khul kar aata hai. Kidney aur masane ki pathri toot kar kharij ho jati
hai. Amraaz makhsosa ke liye bhi crrots behad mufeed aur maqwi hai.
Doctors ne is haqeeqat
ko tasleem kar liya hai ke carrots maqwi baah aur mughliz hain. Honey mein dala
hua carrots ka murabba bilkhasoos quwwat e baah ko barhata hai aur muney ko
garha karta hai. Carrot ka halwa jism ko mota karta hai. Dard kamar aur sanaf
gurdah ke liye mujarrib hai. Maqwi baah o gard, mughliz muney aur dafaa saraat
anzaal hai. Vitamins se fayda uthane ke liye carrots ko kacha khana chahiye.
Nez teeths aur masorhon ki hifazat ke liye in ka chosna aur chabana mufeed hai.
Khoon peyda karti hai. Vitamins ki ziyadti ki wajah se maqbool aam hai. Dimagh
aur meyde kp taqat deti hai.
Carrot kae tareeqon se
istemal hoti hai. Kachi tarkari, halwa, achaar, murabba aur kanji ki soorat
mein bohat khai jati hai. Carrot boil kar ke aur hasb e zaroorat namak mila kar
khana sehat ke liye behtreen hai. Raat ko pani mein ubaal kar rakhen, subha
jhilka aur ghatli nikal kar khaen, sehat ke liye bohat faiydemnad hai. Carrot
mein Beta carotene, phosphorus, calcium, carbohydrates shamil hote hain. Yeh
aankhon aur jild ke liye nihayat mufeed hai. Is ke ilawa cancer se bachati hai.
Sardiyon mein is ka halwa bohat shauq se khaya jata hai aur is ka juice bhi
ghizaiyat se bharpoor hota hai.
Gajar
Ka juice
No comments:
Post a Comment