Social Icons

Friday, May 15, 2015

Carrot Benefits, Gajar Ke Fawaid

Carrot


Carrot is a vegetable. It is very useful for eyes and skin. Carrot is a very healthiest vegetable. It helps the making of blood. It has Vitamins A, B, C and calcium, folic acid, phosphorus, beta carotene, carbohydrates. Kindly request to all of you, please first take advice to your Doctor then use any tips. In this page you will find the information, tips and Carrot benefits in Urdu ( Gajar Ke Fawaid ) In Urdu.
Carrot Benefits In Urdu
Gajar Ke Fawaid
Barre sagheer ki mashoor tareen sabzi hai. Taseer ke lihaz se garam tar hai. Bazahir jitni bazaat aur kam kharch hai. Batin mein utni he mufeed hai. Qudrat ne mein aise anasir rakh diye hain, ke agar insaan unhe istemaal mein na lae. To us ki nashonuma aur amraaz ke muqable karne ki quwwat mein kami paida ho jaye.
Jaded tehqeeq se maloom hua hai, key eh sabzi jise hum itna haqeer aur mamooli samajhte hain. Vitamins ka behtreen zakheera hai. Is mein vitamin A, B, C, folic acid, phosphorus, nishasta aur sugar waghera ke ajzaa pae jate hain. Is liye jism ki tamer o parwarish aur qiyam aur sehta ke liye yeh mufeed tareen sabzi hai. Is mein aik khas juzo aisa hota hai, jo marz shabkori ke dafaa hai. Tajurbey se maloom hua hai ke chon eke jis qadar ajzaa daily jism se kharij hote hain. Wo carrot se hasil ho sakte hain.
Carrot ka juice pina bohat he mufeed hai. Is mein aala qisam ki ghizaiyat hoti hai. Is se khoon saleh peyda hota hai. Yeh maqwi basar hai. Agar carrots bakasrat khai jaen to basarat tez hoti hai. Badi wa balghami bimariyon, kharabi khoon, dil ki dharkan, pathri, yarqan ke liye bohat mufeed hai. Carrots maqwi meyda o dil aur mufarrah hain. Behtreen qabz kusha aur bawaseer ke liye mufeed hai. Is ke khane se urine khul kar aata hai. Kidney aur masane ki pathri toot kar kharij ho jati hai. Amraaz makhsosa ke liye bhi crrots behad mufeed aur maqwi hai.


Doctors ne is haqeeqat ko tasleem kar liya hai ke carrots maqwi baah aur mughliz hain. Honey mein dala hua carrots ka murabba bilkhasoos quwwat e baah ko barhata hai aur muney ko garha karta hai. Carrot ka halwa jism ko mota karta hai. Dard kamar aur sanaf gurdah ke liye mujarrib hai. Maqwi baah o gard, mughliz muney aur dafaa saraat anzaal hai. Vitamins se fayda uthane ke liye carrots ko kacha khana chahiye. Nez teeths aur masorhon ki hifazat ke liye in ka chosna aur chabana mufeed hai. Khoon peyda karti hai. Vitamins ki ziyadti ki wajah se maqbool aam hai. Dimagh aur meyde kp taqat deti hai.
Carrot kae tareeqon se istemal hoti hai. Kachi tarkari, halwa, achaar, murabba aur kanji ki soorat mein bohat khai jati hai. Carrot boil kar ke aur hasb e zaroorat namak mila kar khana sehat ke liye behtreen hai. Raat ko pani mein ubaal kar rakhen, subha jhilka aur ghatli nikal kar khaen, sehat ke liye bohat faiydemnad hai. Carrot mein Beta carotene, phosphorus, calcium, carbohydrates shamil hote hain. Yeh aankhon aur jild ke liye nihayat mufeed hai. Is ke ilawa cancer se bachati hai. Sardiyon mein is ka halwa bohat shauq se khaya jata hai aur is ka juice bhi ghizaiyat se bharpoor hota hai.



Gajar Ka juice 





















Thursday, May 14, 2015

Onion





Onion is found all over the whole World. It is used in different cuisines for the taste and thickness of curry. The people of India, China and Cochin Asia are very fond of the onion. The worthy type of onion is found in Punjab and N.W.F.P. The harvest of onion prepared two times in a year. China, America, Japan, Ross, Italy, Spain, Turkey and India, these Countries are the big importer of onion. It helps to digest of meat. In this page you can see the information about Onion.




Sabzion Ki Kasht

Piyaz ghtri daar jangli pooday ki soorat hai ye mousam-e-sarma ki piada waar hai. Is sabzi ki maang tamam sabzion say ziada hai ye sabzi daal or salan ki tayyari main istimaal hotay hain. Piyaz ki 2 iqsaam hain. 1 surkh or doosri safaid ye qafi arsay tak mehfooz rehta hai . October sai November tak is sabzi ki kasht ki jati hai. Piyaz ki kasht saal mein ik dafa hoti hai. 





Onion Is Good For Health In Roman Urdu
Onion main hayatiyan or deegar anasir wafer miqdaar main mojoud hain. Piyaz aek mukammal ghiza hai jisay qudrat nai beshumaar khususiyat sai nawaza hai.piyaz androoni o beruni tareeqay sai istimaal ki jaati hai.
Haiza or tawwun ki waba phailnay kai zamanay main piyaz ka istimaal be had zaroori hai.khoon main shakkar ko kam karta hai .yarqaan kai marz main mufeed hai . har qism ki khansi or za’af madah ki shikayat door hojati hai.
Piyaz ka arq kaye qism kai amraaz main akseer hai. Murgi kai marz main khoon ki kami ko door karnay kai liye piyaz bohat mofeed hai . jalay hoye muqaam par piyaz ka arq lagana mufeed hai.
Pait ka dard or galay ki soozish kai ilawa masanay ki pathri kai liye piyaz ka musalsal istimaal mufeed hai.
Piyaz ka mizaj garam khushk hai. Peshab awar hai haiz awar bhi hai keeon or jaraseem ko halaak karta hai. Quwwat bah paida karta hai. Piyaz khatay rehnay sai mukhtalif shehron or mumalik ki sair kartay hoye tabdeeli aab o haawa kai asraat tabiat par nahin hotay.
Piyaz khanay sai dast’qai’haiza or amraaz madah nahi paid hotay. Jab hazrat moosa (a.s) ki qoum man-o-salwa sai ukta gai to is nai masoor’piyaz or lehsan ka mutalba kiya tha.
Hayateen aaj piyaz main kafi miqdaar main mojood hain or is ki sab sai bari khoobi ye hai kai isay thori dair paka liya jaye to deegar sabzion kai bar aks is main hayateen ki miqdaar barh jati hai.
Piyaz kai istimaal sai awaz sureeli hoti hai. Tooti haddiyaan jornay ‘dimaghi taraqqi or rang gora karnay kai liye mufeed hai.ire land main isay nazla zukaam or khansi ki medicine kai toor par istimaal kiya jata hai .



Onion (Piyaz) Use As A Medicine In Roman Urdu
1.      Lu chal rahi ho aur ap piyaz ki ganth jeeb mai rakh lain ya hath mei le lein tou lo nahi lage gi.
2. Bichu ya birh kat lei tou piyaz ka raas lganay sai dard door ho jata hai.
3. Piyaz bareek pees lein aur geehoo kay atay kay sath mila kar kholtay pani mei daal kar pits bana lein phir peero par band dein. Tashanj, masana aur ruka hua pishab khul jata hai.
4. Piyaz hazim sabzi hai. riya ko khatam karti hai. Agar khati dakaray ati hoon tou khatam ho jati hain.
5. Sirkay kay sath khany sai pani ki kharabi kay asrat say bachati hai.
6. Ankhoo kay amrazz kay liye be hadh mufeed hai.ankhn dukh rahi hoon ya sooj jaen tou iss ka pani shehd kay sath tapkane say aram ajata hai.
7. Iss ka raas kan mei tapkany se kaan ka mail saaf hojata hai.
8. Piyas tarash kar dho lein iss par namak chirak kar hichki kay waqt mareez ko kilaen hochki band ho jae gi.
9. Bohot dino sei hichki aria ho tou chand din okay istamal sai hichki band ho jae gi.
10. Wabai amraaz aur taawun phela hua ho tou piyaz ko apne paas rkhen aur kachi piyaz bhi khaen. InshaALLAH ap waba se mehfooz raheingy.
11. Agar namonia ki shikayat ho tou 8 ya 10 piyaz koot lain. Gooda kar kay kisi qadar rai mila dain. Aag par bhonein. Chand minute hilaty rahein phir hasab e zarorat garm garm potli mei daal kar mutassira seenay kay hissy par rakhein. Jab wo thanda ho jae tou asay hi dosri potli rakhain. Jab tak kuch dair baad sehat na ho jae yee mal jari rakhaein.
12. Safeed piyaz lain aur issy khushk kar lain aur issy khub koot pees kar safeed safoof bana lein aur rakh lain. Adha pao dahi mein 6 mashy safoof mila kar deny se latadaad dast anay band ho jaengy. Agar asa na ho tou dosri baar dain. Pechish bhi khatam ho jae gi.khuraak mein sirf chawal dain.
13. Nifs chitak piyaz ka raas subha nihar moo pilanay se masana gurday ki pathri reeza reeza ho kar kharij ho jae gi.




Hichki Rokna:
Agr Pani Se Hichki Na Rukay Tou 1 Long Kha Lein.

Pimples:
Garmi Ki Waje Se Honay Walay Pimples Par Pan Mein Use Honay Wala Choona Use Karen Pimples Khatam Hojayengay.

Bachoon K Daant:
Jab Noumolood Bachon K Daant Nikalnay Walay Hoon Tou In K Gums Par Honey Or Salt Mila Kar Lagayen Or Galay Mein 1 Chwara Kali Dori Mein Piro K Daal Dein, Daant Begair Kisi Takleef K Nikal Ayengay.

Headache:
Daarchini Ko Pees Kar Forehead Par Iska Laip Lagayen.
Sir Par Kaddu Ki Malish Karen.

Weight Barhanay K Lye:
1 Apple Ki Kashen Kat Kar Raat Ko Khulay Asman K Nichay Aisi Jage Rakhen Jahanis Par Shabnum Parti Rahay Or Subha Moon Haath Dho K Yeh Apple Khalein. Is Se Aap Ka Weight Bhi Sahi Hojayega Or Face Par Shine Bhi Ayegi.

Gas Or Qabz:
Patton Wali Muli Shehad Or Namak K Sath Mila Kar Kahyen, Insha Allah 1 Week Mein Gas Or Qabz Se Nijat Mil Jayegi.

Hath Jal Jaey Tou:
Agr Hath Jal Jaye Tou Mutasira Jage Par Kachha Doodh Laganay Se Foran Aram Milta Hai.
Jalay Hwe Hisse Par Glycerin Ya Neel Laganay Se Aabla Nahi Parta.

Height Barhanay K Lye:
Rozana 10 Se 12 Hrs Ki Neend Karen Or Lait Kar Hath Per Angrai Ki Surat Phelayen, Height Mein Izafa Hoga.

Sweeting:
Agr Aap K Paoun Mein Sweeting Zyada Hoti Ho Tou Neem Garam Pani Mein Sirka Ya Lemon Juice Mila Kar Paoun Dhoen, Sweeting Hona Band Hojayegi.

Chehray Ki Khushki:
Aksar Winter Season Mein Face Buhat Dry Hojata Hai Is Dryness Se Bachnay K Lye 5-6 Badamen Pani Mein 4-5 Hrs K Lye Bhigo K Rakhdein, Jab Naram Hojayen Tou Ragar K Face Par Lagayen Or Jab Dry Hojaye Tou Ise Apni Finger Ki Madad Se Utarlein Or Pani Se Moun Dholein. Is Se Kuch Dinon Mein Dryness Khatam Hojayegi.

Lips Ki Surkhi:
Raat Ko Honton Par Zafran Laga Kar 10- 15 Minutes K Lye Chordein Phir Lips Dholein, 10 – 15 Dinon Mein Aap K Honton Pe Natural Surkhi Ajayegi.

Zyada Chenkein Aana:
Agr Buhat Zyada Chenkein Arahi Hoon Tou Sir Par Thanda Pani Baar Baar Dalnay Se Chenkein Ana Band Hojati Hain.

Pait K Keeray:
Apnay Bachon Ko Peach Buhat Khilaya Karen, Is Se Bachon K Pait K Keeray Mar Jatay Hain.

Gums Ka Phoolna:
Agr Kabhi Gums Phool Jayen Tou Dry Tobacco Ko 5-6 Leaves Le Kar Pees Lein Or Phoolay Hwe Gums Par Lagayen, Inshaallah Sojan Khatam Hojayegi.

Danto Ki Mazbooti:
Danton Ko Mazboot Karnay K Lye ½ Cup Sirkay Mein 1tablespoon Honey Mein Milayen Or Is Se Roz Gargle (Kulyan) Karen.

Bleeding Roknay K Lye:
Agr Hath Cut Jaye Or Bleeding Zyada Honay Lagya Tou Is Par Honey Laga Kar Kus K Patti Bandh Lein, Is Se Bleeding Ruk Jati Hai.

Kanta Lag Janay Par:
Agar Kabhi Paun Ya Hath Mein Kanta Lag Jaye Tou Os Jage Par Gur Or Pyaz Donu Ko Koot Kar Lagadein Or Thori Der Chordein, Kanta Asani Se Nikal Ayega.

Kaan Ka Dard:
Agar Kaan Mein Dard Ho Tou TULSI K Leaves Kuchal Kar Saaf Pani Nikal Lein, Phir Ye Pani Neem Garam Kar K Kaan Mein Droper Ki Madad Se Dalein, Kaan Ka Dard Bilqul Theek Hojayega.

Aawaz Ki Kharabi:
Aksar Ouqat Zyada Bolnay Ki Waje Se Aawaz Kharab Hojati Hai Aisi Surat Mein Roz ½ Inch Ka Adrak Ka Piece Chaba Kar Thook Dein, Kuch Dino Mein Aawaz Theek Hojayegi.
Girmar Phalli K Seeds Khanay Se Bhi Jald Awaz Theek Hojati Hai.

Yadhasht Barhana:
Rozana Doodh Mein 20 Pistay Or Badam Or 1tsp Honey Mila Kar Pinay Se Yadhasht Tez Hoti Hai.
Daarchini Ka Joshanda ½ Cup Rozana Subha Shaam Pinay Se Bhi Yadhasht Achi Hojati Hai.

Khoye Ko Mehfooz Karna:
Khoye Ko Zyada Arsay Tak Mehfooz Rakhnay K Lye Is Mein Thori Si Sugar Daal K Freezer Mein Rakh Dien, Khoya Lambe Arsay Tak Taza Or Zayeqay Daar Rahega.

Khansi, Hath Or Paoun Ki Jalan:
Teenday Ka Istamal Khansi, Hath Or Paoun Ki Jalan Se Bachata Hai.

Dehydration:
Cucumber Dehydration Se Bachata Hai Specially Summer Season Mein, Or Is K Sath Yeh Acidic Urine Ko Bhi Kahtam Karta Hai.

Bichuu Ka Katna:
Agr Kabhi Bichuu Kat Lay Tou Os Jage Par Hing, Lehson Or ****hak Hum Wazan Le Kar Pani Mein Pees Lein Or Laip Banalein Or Jahan Zakhum Hai Os K Sides Mein Lagayen.

Pan Se Zaban Cut Jaye:
Agar Pan Khatay Hwe Zaban Cut Jaye Tou Thora Sa Khopra Khanay Se Moun Theek Hojata Hai Or Jalan Bhi Door Hojati Hai.

Kuttay K Katay Ka Ilaj:
Agar Kabhi Kutta Kat Lay Tou Os Jage Par Jahan Kata Gaya Hai Wahan Namak Or Safaid Katha Mila Kar Lagayen, Is Se Zehar Khatam Hojayega.

Chechak K Daag:
Pistoon Ko Pees Kar 6 Months Tak In Daag Par Laganay Se Daag Khatam Hojatay Hain.

Chehray Ki Kharaish:
Muli Ka Juice Face Par Laganay Se Kharish Khatam Hojati Hai. Ya
Jao K Aatay Mein Muli K Juice Mila Kar Face Par Laganay Se Bhi Kharish Khatam Hojati Hai.
Rangeen Kapron Ki Safai:
Rangeen Kapron Ko Dhonay Walay Pani Mein 2tsp Salt Milalein Or Phir Is Mein Rangeen Kapray Daal Kar Dhoyen Is Se Kapron Ka Colour Kharab Nahi Hota.

Zehni Thakan:
Apni Rozana Ki Giza Mein Phal Or Sabzyon Ka Zyada Istamal Rakhnay Se Zehni Thakan Kum Lagti Hai.

Daarh Ka Dard:
Jis Taraf Ki Darh Mein Dard Ho To Is K Mukhalif Taraf Naak Mein Aam Kagaz Ka Dhwan Songhnay Se Dard Ki Shiddat Mein Kami Aati Hai.

Pyas Zyada Lagna:
Agar Pyas Zyada Lagti Ho Tou Pyaz Ki Chund Qashen Khanay Se Pyas Ki Shiddat Khatam Hojati Hai.

Heart Patients:
Heart Patients Agr Raat Ko ****eryon Par Arq-E-Qewra Daal Kar Chand Ki Roshni Mein Rakh Dien Or Subha Uth Kar Yeh ****eryan Choos Lein Tou Kuch Arsay Mein Aap Ki Sehat Mein Behtri Ajayegi.

Billi Ka Katna:
Agar Kabhi Billi Kat Lay Tou Dry Pudinay Ko Taza Pudinay Mein Pees Kar Laip Bana Lein Or Jahan Billi Ne Kata Hai Os Jage Par Lagayen Buhat Aram Ajayega.

Saanp Ka Katna:
Sanp K Katay K Patient Ko Agar Banana Ka Fresh Juice Pilaya Jaye Tou Patient Acha Hojata Hai.



















Benefits of Anjeer انجیر



Anjeer aik esa fruit ha jis ki qasam allah taala ny quran paak mai khai ha .........is kay fawaid beshumar hen
Anjeer tabiat mai farhat ka ahsas peda karti ha
Stomach problems ko solve karti ha like qabz aur bawaseer etc
Anjeer pyas ko bujhati ha aur balghami khansi mai mufeed ha
Anjeer ky tree say jo milk nikalta ha us ko dant per lagany say dant ka dard khtam ho jata ha ..........lakin agr jisam per lag jai to kharish bhi ho sakti ha kuch logon ko

Bars..........korh.........anjeer kay doodh mai jau ka aaata mix kar ky lagany sy bars phelna band ho jata ha
Stomach mai jalan........sozish....koi bhi problem yah solve karti ha
Yah jisam say fat (charbi) ko khtam krti ha
Gurday(kidney) problem ko solve krti ha ...........

High blood pressure ko control krti ha kunkat khoon ki nalion say fat ko khtam krti ha





Dried Fig Sweet انجیر کی برفی





  • گھی یا مکھن ایک سو گرام
  • سوجی ایک سو گرام
  • کھویا ایک کلو
  • چینی دو سو پچاس گرام
  • الائچی دس عدد
  • (انجیر دو سو پچاس گرام (کٹی ہوئی
  • پستہ دس عدد
  • بادام دس عدد


  • making tricks 
  • گھی یا مکھن میں سوجی ڈال کر بھون لیں۔
  • ہلکی براؤن ہوجائے تو اس میں کھویا شامل کردیں۔
  • اب چینی ڈال کر ہلکی آنچ پر پندرہ منٹ پکائیں اور اُتار کر اچھی طرح گھوٹ لیں۔
  • ٹھنڈا ہونے پر اس میں الائچی اور کٹی انجیر ڈال کر مکس کریں۔
  • اس کے بعد ٹرے میں نکالیں اور ٹھنڈا ہونے کے بعد پستے اور بادام سے گارنش کرکے سرو کریں


  • Friday, May 8, 2015

    fastone ezy use

    fastone screen capture and editor 
    how to use 
    Image and video hosting by TinyPic















    Helicopter crashed 6 killed , ambassdar Norway ,and Philippine

    in Gilgit Pakistan 

    Helicopter crashed 6 killed , ambassdar Norway ,and Philippine

    Geo mazy se Geo mazy se



    Younis khan & Azhar in Dakha test 7th may 2015



    Pakistan in driver's seat
    What a forgettable day it has been for Bangladesh! They have used nine bowlers today but have only managed to pick up three wickets. They enjoyed a decent start, dismissing Hafeez in the fourth over of the day. Azhar and Sami Aslam put up a 49-run stand, but Taijul ensured he got Aslam soon after. With Younis Khan's arrival at the crease, things for Pakistan changed dramatically. He shared a 250-run partnership with Azhar Ali, as both batsmen brought up their respective centuries. Unfortunately for Bangladesh, they got both the batsmen out off no-balls, a mistake that cost them dearly.

    Ideally, Pakistan would have wanted them to continue but Mohammad Shahid was successful in dismissing Younis with only five overs left in the day. For the moment, Pakistan are in firm control of the proceedings. The hosts will have to take some early wickets tomorrow to prevent the visitors from posting a huge total on the board.




    Milestone : Azhar Ali follows Younis
    It was not long before Azhar Ali got to a well-made Test century as well, his eighth in this format in 212 balls. He might have taken more time in getting to the milestone, but his knock has been a responsible one. The partnership has crossed 200 and Pakistan have dominated Bangladesh comfortably.

    Milestone : Younis scores a ton
    What a splendid batsman Younis Khan is! He proved that once again today after scoring a fabulous hundred, his 29th in Tests and third against Bangladesh. He got to the milestone in just 142 balls. The knock has included 9 hours and a six so far. Pakistan have comfortably crossed 200 as well. On the other hand, Azhar Ali is nearing a hundred of his own.













     
    Rainbow Pinwheel Pointer Rainbow Pinwheel Pointer